Freelance Falcon ~ Weird Jhola-Chhap thing ~ ज़हन

Monday, August 9, 2010

The Missing Flight

Dinesh Fiji ka naagrik tha aur Bharat mey ak Air Traffic Controller kay roop mey kai saalo se kaam kar raha tha. Uske liye aaj ka din bhi aam dino jaisa tha. Apni desk par baitha wo tezi se kai Air Planes ko sambhal raha tha aur kuch dair mey zyadatar Aeroplanes ko wo apni karya seema se bahar bhej chuka tha.Ab wo apna kaam kuch aaram se kar raha tha. Dosto se hassi-mazak,ghar ki baatein,aane waale dino kay plans yahi sab uss Contol Tower par roz aam ki baatien thi.Aaj ka din bhi aise hi guzar raha tha.Par aaj shayad Dinesh inn baato kay chakkar mey apne kaam se kuch zyada hi vimukh ho gaya tha.

Dinesh - "Flight 297......Flight 297......this is Northen Amausi Base.....are you reading me.....hello....."

Ajay-Kya hua,Dinesh ?

Dinesh-"Flight 297 ko kuch dair pehle sabhi updates di thi aur uske baad ab dekha to wo radar par nahi hai.

Ajay-Oh God,Dobara dekh....kosish karte raho.

Lekin Dinesh ki anginat kosishein vifal rahi aur Flight 297 se koi jawab nahi aaya. Dinesh ko uske ghar par haadse ki jaanch honay tak nazarband kar diya gaya. Flight 297 aakhri update tak Raguveerpur,Jharkhand, kay ghane jungleo se guzar rahi thi 1 din beet jaane kay baad ab tak sabhi nay uss Flight kay surakshit honay ki aas tyaag di thi aur uski khoj been ka kaam jaari tha. Dinesh ki laaparwahi se kai log bahut gusse mey thay,Sarkar par janta aur bahari desho se dabaav badhne laga. Dinesh par ak hi din mey kuch jaanleva hamle bhi huey aur Bharat mey Fiji Dutavaas(Embassy) nay Bharat Sarkar se Dinesh ko kuch dino tak gupchup tareke se Fiji mey hirasat mey rakhne ka prastaav rakha taaki uski jaan ko koi khatra naa ho.Dinesh Airport aaya aur usne Fiji jaa rahi Flight kay liye Amausi Airport par "Check In" kiya aur .......... wo gayab ho gaya.Usse Airport par har jagah dhoonda jaa raha tha par uska kahi pata nahi tha.Adhikariyo ko pehle se khabar thi ki Dinesh Fiji logo se chhup kar jaa raha hai aur usko koi nuksaan naa pahunche isliye uspar nazar bhi rah rahe thay par phir naa jaane kaise wo gayab ho gaya.Sabhi ko yahi lag raha tha ki kisi ugr sangathan kay sadasyo nay uska apharan kar liya hai.

LEKIN DINESH TO FLIGHT MEY BAITH CHUKA THA.

Idhar Dinesh Plane mey baith chuka tha aur uska plane udd bhi chuka tha..................kuch dair tak to sab samanya raha par thodi dair baad waha ka vatavaran Dinesh ko sandigdh laga.Sabhi yatriyo ki nazar Dinesh par hi thi aur uski seat bhi sabse alag thi.Usne apne bagal waale yatri se poocha ki ye flight kaha jaa rahi hai to sabhi nay aksaath jawaab mey bas yahi kaha......

"Flight 297"

Dinesh ko iss jawab ki umeed nahi thi,wo sihar uttha aur usse pata chal gaya ki uski galti ki saza dene khud uski galti kay shikaar huey murde aaye hai.

Agle din Flight 297 ka malba Raghuveerpur kay Jungleo mey mil gaya sabhi yatriyo ki laasho kay avsesh bhi mil gaye aur sabhi yatriyo ki pehchan,shinakht bhi ho gayi par sabka aashcharya tab apni hadde todd gaya jab uss malbe mey uss vimaan mey safar kar rahe yatriyo se ak laash zyada mili aur uss laash ki pehchan Dinesh kay roop mey hui.

The End.

No comments:

Post a Comment