Freelance Falcon ~ Weird Jhola-Chhap thing ~ ज़हन

Tuesday, August 10, 2010

Mautniti

Kuch mahino pehle hi Sindhar Rajya mey Jaago Dal naam ki party satta mey aayi thi. Uss party ka satta mey aana ek chmatkaar tha kyoki bahut si chhoti parties se gatbandhan karke pehli baar koi sadharan starr ki party satta mey aayi thi.

Lekin aaye din Jaago Dal aur uske sahiyogi dalo kay netao kay naam ghotaalo mey aa rahe thay. Kuch hi mahino kay antraal mey ruling party ki lokpriyeta behadd kum ho gayi thi aur aaye din sansad mey vikpakshi netao dwara kharab policies ki ninda, reporters dwara sting operations, etc, se sattadhari party kay neta pareshaan thay.
Upar se Sindhar ki rajdhani Dhar aur uske aas paas kay elako mey dangey bhadak gaye thay. Sthiti nazuk hoti jaa rahi thi.

Ruling Party ki meeting hui jisme sabhi ko zaroori nirdesh diye gaye. Meeting kay baad Cheif Minister Mahendra Madugar nay kuch netao ko rook liya. Phir Chief Minister nay apni baat shuru ki.

Mahendra Madugar - Kuch hi mahino mey humare bahut se mantriyon par ghotaalo kay maamle darj ho gaye hai. Upar se humari kai policies ki central agencies dwara jaanch chal rahi hai. Media nay bhi jeena haraam kar rakha hai. Ye unki reports aur khabro ka hi natija hai ki janta ab humse nafrat karne lagi hai. Yaani iss baat kay poore aasaar hai ki humari sarkar agle election se bahut pehle hi girne waali hai. Dango ko bhadkane mey karyakartao kay roop mey mere aadmiyon ka haath tha taaki mai vipakshi parties ki image bigaad sakun par patrakaaro aur deshbhakt netao ki wajah se ulta hi ho gaya. Inn Dango nay humari chhavi aur zyada bigaad di hai.....lekin hum inn dango ka ab bhi apne faayde kay liye isteymaal kar sakte hai. Kuch reporters ki boli bahut nikalti hai aur wo yahin humari naak kay neeche issi shehar mey reh kar kaam karte hai. Aur opposition kay kuch mantri jo humare khilaaf janta ko bhadka rahe hai aur bade campaign chala rahe hai.....inn sab ko dango ki aad lekar khatm karna hoga.

Ek sawal uttha.

"Par Mukhya Mantri ji aisa karne se to seedha shaq hum par jaayega."

Mahendra Madugar - Isliye to maine Jaago dal kay khaas mantriyon ko meeting kay baad rooka hai. Humey apne aur apne sahiyogi dalo kay bhi kuch netao ko maarna padega tab kisi ko iss yojna ki bhanak nahi lagegi. Arre, bhaiyon....Sarkar ko aage chalana hai to humey aise balidaan to dene padenge. Ab dhyaan se suno jin mantriyon aur reporters ko maarna hai maine sabki list bana li hai. Inme se zyadatar V.I.P. aur celebrity ka darja haasil kar chuke hai isliye kisi ko gayab nahi kar sakte sabki laashein milni chahiye. Inn sabko aise marvaao jaise ye dango mey marre hon aur phir inhe dango mey marre logo kay saath plant karva do.Matlab maarne kay baad inke shareer kay kuch anng bhang kar dena ya bade bade ghaav kar dena. Inki Post Mortem reports dango mey marr chuke logo jaisi lagni chahiye......nahi....balki mai to kehta hun ki unse bhi asli lagni chahiye...ha ha ha ha ha ha ha.

Wahan upasthit sabhi haiwaano kay thhahake goonjne lage. Mahendra Madugar kay shadiyantra par amal hua aur berehmi kay saath unke aadmiyon nay di gayi list kay anusaar bahut se mantriyon aur reporters ko dango ki aad mey maar daala. Ussi shaam Ruling Party kay unn sabhi jallado ka Chief Minister kay ghar par jhashn chal raha tha. Sabhi iss kaamyabi ki wajah se saatve aasmaan par thay.

Kuch dair baad darwaze par zor ki dastak hoti hai. Bahar bahut shor gul tha. Sabhi neta ghabra gaye aur unhone apni security ko kai sandesh bheje lekin koi jawab nahi mila. Saare mantriyon nay apna staff aur suraksha karmi iss party ki wajah se pehle hi kum kar diye thay.....par unke khaas bache huey suraksha karmi bhi ab unka jawab nahi de rahe thay. Khidkiyon kay sheshay tootne lage aur bahar shor badhta jaa raha tha.

Mahendra samet andar maujood darre huey netao nay khud ko upar waale kamre mey bandh kar liya aur wahan se bahar dekha to Dange ka drashya tha unke suraksha karmi behosh pade thay.....bahut se gutt aapas mey bhide huey thay. Chief Minister ki saari suraksha vyavastha gayab thi. Aakroshit bheed nay darwaza todd diya aur wo andar ghus aayi. Phir jis kamre mey sabhi netao nay khud ko bandh kar liya tha uska darwaza bhi todd diya gaya. Aakhri ummeed kay saath sabhi neta kamre ka darwaza khulte hi tabadtood goliyan chalate huey bachne kay liye neeche bhaage par unhone dekha ki neeche bhi bahut log hai aur jin logo ko unhone goliyan maari thi wo bhi unki taraf hastey huey badh rahe hai.

Ab achanak saari bheed shat viskshat laashon mey badal gayi thi. Uss bheed mey se bahar aaye unn Reporters aur Netao ki chalti phirti laashein jinhe Mahendra Madugar aur uske saathi mantriyon nay marvaya tha. Ye manzar dekh kar Mahendra aur uske saathi darr se jadd ho jaate hai. Har neta aur patrakaar ki laash kay haath mey ek kaagaz tha. Wo kaagazo ko unn darre sehme Ruling Party kay netao ko thama dete hai. Wo 'zinda' neta unn kaagazo ko dekhte hai......wo kaagaz unhi ki post mortem reports thi. Phir wo laashein unn netao ko unki pehle se hi bani post mortem reports kay anusaar maar dete hai.

Kuch dair baad sandeh kay aadhar par pahunchi Police ko wahan Sattadhari party kay Mukhya Mantri Mahendra Madugar samet unke kuch mantriyon ki kuchli, kati, shat vikshat laashein milti hai....jaise wo dango mey maare gaye ho aur har laash kay upar uski post mortem report rakhi hui thi.

The End!!

No comments:

Post a Comment