Freelance Falcon ~ Weird Jhola-Chhap thing ~ ज़हन

Monday, August 9, 2010

Fight for The Right!

Daren - Papa...abhi mat jao....
John - (Daren ko apni godd mey utthakar)Mai waapas aaunga mere bachche.

Do padosi desh "Razed" aur "Prak" kay beech lambe arse se tanaav aur seema vivaad chal raha tha aur ab sthiti halke yuddh tak pahunch gayi thi.

Seema kay aas-paas dono desho ki senao me badhotri honay lagi.

Prak ka rajya ak Tanashah, Malsun kay haatho mey tha. Iss vivaad ko shaant karne kay liye videsh se ak shaanti dall aaya aur uske rakhe prastaavo aur baato se doono desho kay rukh mey kuch narmi nazar aane lagi. Dono desho ki senao ko ladaai rookne aur peeche hatne ka aadesh mila par Prak kay karta dharta Malsun kay dimaag mey kuch aur hi chal raha tha. Razed kay kai sainik ab laut chuke thay aur bachi hui asaavdhan Razed ki sena par Prak ka aakrman hua aur lagbhag sabhi bache huey Razed kay sainik maare gaye.

Prak nay iss sthiti ka faayda utthate huey Razed desh ka kaafi shetra apne kabze mey kar liya. Ladaai aur naa bhadke isliye Antarashrtriya Shaanti Committee nay faisla Prak kay haq mey sunaya. Kamzoor Razed desh bhi chhup ho gaya.Samay kay saath ye mamla thanda pad gaya. Iss chhal yuddh mey Razed kay shaheed huey ak sainik John ka Beta Daren ab javaan ho chuka tha aur wo bhi apne pita ki tarah sena mey bharti ho chuka tha.

Samay khud ko dohra raha tha aur lagbhag 25 saal baad phir se Park nay Asaavdhan aur peechli baato ko bhul rahe Razed par hamla kar diya tha. Razed aur Prak ki seemao par tanaav badh raha tha. Razed ki sthiti ab bhi kamzoor thi.Seema par ab Razed kay kuch hi sainik apni dharti ki raksha karne kay liye zinda bache thay jinme se ak Daren bhi tha.Ye bhi sanyoog tha ki kroor Mansul abhi bhi Prak ka shashak tha aur ussi kay aadesh se ye kayartapoorna hamla hua tha.

Daren - "Hello....This is "Slope" to "Delta base".....reading me.......humey backup ki zarurat hai......yaha halaat kharab hai.....aur "Nasties" aage badh rahe hai,Over."

"This is 'D-Base' to 'Slope' backup bhejey jaa rahien hai,Over."

Daren- "Slope to Delta Base......mujhe backup troops dikh rahe hai."

"D-Base to Slope, abhi to backup troops base se kuch hi doori par pahunche hai......itni jaldi waha kaise pahunch gaye. Are you sure that...."

Par aage baat ho paati iss se pehle hi Transmission mey baadha aa gayi.
Daren khush tha ki ab ab uski sena ka paksh thoda mazboot hua hai aur wo apne desh ka aur nuksaan honay se bacha lega.Daren josh aur gusse kay saath aage badha par tabhi usne dhyaan diya ki uske saath iss hamle mey bache sainik to saavdhani se aad lekar aage badh rahe thay par unke Backup troops kay sainik nidarr hokar badhe jaa rahe thay aur unke hathiyaar bhi purane lag rahe thay.Daren nay unhe rookne ki kosish ki kyoki wo dheere-dheere chhupkar aage badhne kay paksh mey tha par uski baat kisi nay naa suni.

Baazi palat gayi thi aur ab palda Razed ki taraf jhuk raha tha ki tabhi khule maidaan mey bekhoof aage badh rahe backup sainiko par Planes se hawaai hamla hua. Iss hamle se maidaan me bhaag rahe lagbhag sabhi sainiko ka marna pakka maana jaa raha tha par jab dhuaa chhata to nazara behad bhayanak tha kyoki kate pair,Bina sar kay dhadd,shatigasth haath......yaha tak ki alag hui aankhien bhi Prak kay saniko ki taraf badh rahi thi.Ye nazara to morche par bache Razed kay sainiko ki bhi saanse rook raha tha.Daren abhi hairat se ye sab dekh hi raha tha ki usne apne kandhe par ak javaan saiknik ka haath mehsoos kiya.Usne mudkar dekha to aascharya se wo jadd ho gaya......kuch bol na saka. Uss sainik ki aawaz dobara gunji.

"Beta, Maine kaha tha naa ki mai waapas aaunga.......".

Wo John tha jo apne murda saathiyo kay saath apne desh kay upar dobara ho rahe iss anyay ko rookne aa pahuncha tha.Jald hi Murdo nay Prak kay sainiko par paar paa liya.Par phir bhi sabhi murda shareer shatigrast haalat mey badhe jaa rahe thay......pata nah kya thi unki manzil.....wo sabhi har baadha ko par kar aur kai hazaro kilometeres ka safar tayy karke pahunche uss bunker tak jaha Prak ka shashak Malsun chuppa hua tha.Murde zameen mey sama gaye aur bhumigat buker kay neeche se nikle.Malsun ko bahut buri maut kay ghaat utaara gaya.Agle din seema rekha kay nishaan 25 saal pehle waale thay aur Razed ko apni khooyi zameen aur sammaan waapas mil gaya tha.

The End.

No comments:

Post a Comment