Freelance Falcon ~ Weird Jhola-Chhap thing ~ ज़हन

Thursday, July 29, 2010

"Sonia ne Aatmhatya kar li, Inspector Sahab!!"

Sonia naam ki ak ladki ki kuch hi mahino pehle shaadi hui thi. Uske Pita nay apna sab kuch iss shaadi mey laga diya tha aur Dahej ki maange poori karne kay liye wo karze mai bahut buri tarah doob gaye thay. Sonia kay Lalchi sasuraal waalo ki maange badhti jaa rahi thi aur isliye wo log roz Sonia ko pratadit bhi kartey thay. Sonia ye zulm chup-chap seh leti thi aur apne Papa se hamesha haanskar baat karti thi. Lekin aaj ka din shayad kuch alag hi tha...


Kuch hi samay pehle ki thi usney ki apne ghar ki dehleez paar,
Didi, Maa ji, Pita ji aur Dev, ab yahi ban gaye uska naya sansaar.

SONIA - "Arrey, aap sab log yaha rasoi mey,
Ab se dhyaan rakhungi,
Abhi nahi bana hai khana,
Kal sey aap sabko nahi padega yaha aana."

Dev - "Babu ji aap bahar nazar rakhiye,
Didi maachis le lo,
Maa, jaldi isspar mitti ka tail daalo."

"Dev, pehle iske haath to pakad lo."

AVAAK REH GAYI SONIA,
JAB USNE YEH SAB SUNA,
TOOT GAYA HAR SAPNA USKA,
JO USNE AB TAK THA BUNA.

ABHI TO DIL KAY KAI ARMAAN JAWAA THAY,
PAR JINKO USNE APNA MAANA WO USKE APNE KAHA THAY?

SONIA -

"T.V., Transistor ki aawaz kum kar do....Didi,
Mai bilkul nahi chilaaungi,
Haaste huey iss ghar mai aayi thi,
Haaste huey hi jaungi.

Mai to pehle hi marr chuki hun Babu ji,
Ab iss shareer ko jalta dekhne kaun aayega?
Aap bhi sabhi ki madad kejiye,
Aap se achchha inka haath aur kaun batayega?

Maa ji, aap kehti to mai khushi se jaan de deti,
Phir ye khel kyu racha hai,
Mere Shareer kay saath meri aatma ko bhi jalana hai,
Kya aur mitti ka tail bacha hai?

Dev, tumhe to maine apna Bhagwaan maana,
Apne Bhagwaan ki yeh lila bhi dekh lungi,
Aaj khud ko jalta dekhkar hi apni aankhein saik lungi.

Aaahhh...Dev.......aaj to mere bhagya bahut acche hai,
Marte waqt bhi tumne mere haath thaam rakhe hai.

Roshan raha humara pyaar,
Nahi hua yeh kabhi kaala,
Dekho aaj tumhare pyaar nay,
Mujhe hi maar daala.

Bas ak Vinti hai,
Ho sake to maan jaana,
Mere Papa ko unki Beti kay marne ki
asli "Wajah" kabhi mat batana."

No comments:

Post a Comment