Freelance Falcon ~ Weird Jhola-Chhap thing ~ ज़हन

Thursday, July 29, 2010

Meera ko bhi Kanha de do!



Liye sang santan,
Din raat magan,
Karti wo bhajan,
Lagi Krishna lagan.

Kiya Rajasthan paavan,
Kiya murat se milan,
Taare kaiyon kay janam,
Saadha Shyam se sangam.

Toode kul kay bandhan,
Rana ji ko hui jalan,
Sahi usne agan,
Kiya vish ko amrit bina manthan.

Jisko nadi nahi saki duba,
Shehenshah Akbar nay kiya jiska sajda,
Usko har ghadi apno kay taano, dutkaaro mey pada pisna,
Par Mira ka to jaise Krishna mey tha sansaar aur sansaar mey tha Krishna.

Rukmini ji, itni vinti sun lo,
Mira ko bhi Kanha de do.......

No comments:

Post a Comment