Freelance Falcon ~ Weird Jhola-Chhap thing ~ ज़हन

Thursday, July 29, 2010

Majboor

"Munni, pani sirhane rakha hai,
chhadi bhi paas rakh di hai, ghar se bahar mat nikalna,
mai jald khana lekar aaunga.”

Kuch dair baad-
“Sir ye hamari company nay ak naya powder launch kiya.....”

“NAHI CHAHIYE”

“Le lijiye naa sir bahut accha ….”

“BOLA NAA NAHI CHAHIYE……NIKLO YAHA SE.”

Agla ghar -

“Sir ye hamari company……….”

“AAGE JAO….”

Aaj to shayad uski pariksha thi,
Jis bhi ghar jaata, Niraasha hi paata.
Jab bhi wo thak haar jaata,
Uski bhuki behan ka chehra,
Usko yaad aa jaata.
Aakhir khaali haath waapas,
Wo kya mooh lekar jaata.
Kamzoori aur thakaan,
Jab haavi honay lagi,
Tabhi umeed ki,
Ek kiran jagi.
Bhatakta wo majboor darbadar,
Pahuncha ak aalishaan ghar.

“Sir ye powder……….”

“WATCHMAN…….YE SALESMAN AANDAR KAISE GHUS AAYA,
ISEY BAHAR NIKALO.”

“Sir…………Sir……le lijiye na sir,
bahut acchi quality ka hai………Sir isskey saath discount bhi hai,
Sir…discount……le lijiye naa sir………Doosra sample free de dunga…
……khareed lijiye naa sir………sir……ek baar……khareed lijiye naa sir.

Uski kisi nay naa suni.

Footpath par baithkar ronay laga wo bechara,
Aaj ek bhai iss zalim duniya se haara.
Soch kar apni anndhi behan ka gham,
uski aankhe ho gayi nam.

Tabhi ek aawaz uske kaano mai padi -

“Babu ji………ye chudiyan le lo na Babuji……,
bahut bhuki hu, Le lo na ..............Babuji”

Uss aawaz ko sunkar gaya wo seham,
Kyoki uske saamne khadi thi uski Behan.
Aaj shayad rona bhi mumkin naa tha,
Uski zindagi ka ye sabse bura din tha.
Iss dukh ko bhi usne piya,
Apni "Munni" ko seney se laga liya.

"Tujhe bhuki nahi rakhunga,
itne gham sahe,
ek aur seh lunga.
Ye duniya to kuch degi nahi,
Aaj mera khoon pekar jee le,
Kal ki kal dekh lunga."

No comments:

Post a Comment