Freelance Falcon ~ Weird Jhola-Chhap thing ~ ज़हन

Thursday, July 29, 2010

Brij Magan

Saathiyo, iss kavita mey brij ki bhasha ka prayog kar kuch naya karne ki kosish ki hai. Ab aap log bataiye ki ye kosish kahan tak safal rahi. Bhagwan Krishna brij chhod kar apne kartavya path par nikal chuke hai par saara Brij apne Kanha kay waapas aane ki raah dekh raha hai.

Baba baithey aas lagave,
Maiya ka aanchal bulave,
Kahin se nanha natkhat aa jaave,
Daau bhaiya kohau saath mey laave.

Panghat pey paniya bharan,
Gopiyo sang Radha magan,
Raah taki mey hai lagan,
Mann mey hai Shyam agan.

Chhaliya naa hovey paas,
Ki se rachave raas ?
Gwalan sab huin laas,
Gaiyan kum charan gaas.

Gaave sab Kisan gun,
Suun sab bin murli dhun.

Rann ko ab chhod dei,
Mann ko fir jodd lei.
Matki fir todd dei,
Maakhan fir choor lei.

Aa jaao Nandlaal,
Chanchal Giridhar Gopal,
Taki brij sang gopi gwal.

Natkhat hatt chhod Shyam,
Araj kare ye brijdham.
Taaro sabhan ka jeevan,
Darshan dei do Bhagwan.

No comments:

Post a Comment