Freelance Falcon ~ Weird Jhola-Chhap thing ~ ज़हन

Sunday, July 11, 2010

जीवन का झूठ (2)

Continue from "जीवन का सच" poem. -

Kyu humara manchaha nahi ho paata hai ?
Kyu toffy lekar baccha chocolate chahta hai ?
Kyu koi buddha jaydaad likhne se pehle marr jaata hai ?
Kyu D.J. har 20 minutes mai wahi gaana bajata hai ?
Kyu Pappu ak jaise number har baar paata hai ?
Kyu salesman kay alawa koi ghanti nahi bajata hai ?
Kyu koi yuva Mopid chalane se katrata hai ?
Kyu Devanand apna wajan nahi sambhal paata hai ?
Kyu Spiderman khud ko sher se nahi katvata hai ?
Kyu South India mai koi "fair and lovely" nahi lagata hai ?
Kyu "Al-kaida" America ko "Tom and jerry" khilvata hai ?
Kyu har teesra Punjabi pop singer ban jaata hai ?
Kyu Ekta Kapoor ka koi serial Discovery par nahi aata hai ?
Kyu Emraan Hashmi ko koi doosra kaam nahi aata hai ?

Agar........Agar.......zara gaur farmaiyega.......
...Agar inn sawalo ka jaawab aapko aata hai.
To isme mera kya jaata hai ?

No comments:

Post a Comment